Har Sukhan Faqeer ka man janib
Hazoor aur harTawwaja Faqeer ki sara sar Noor aur Wajood Faqeer kaMaghfoor aur
Qalb uska Bait ul Mamoor aur RoohFaqeer ki ba farhat shoq o masroor hoti hai.
BatinFaqeer ka daaim qaaim dawaam e hayat aur uskamartaba Fana fi ALLAH Zaat hai.is kisam ka martaba Faqeer ko ba rafaqat
HAZRATSARWARE KAINAAT ( p.b.u.h ) hasil hota hai. yeh haibaatni mairaaj
aur martaba e mairaaj Quran se haasilhota hai . jis shaksh ko bagher Talawat e
Quran uroojaur mairaaj haasil ho woh na mairaaj hai balke istidraajhai.Aqal Bedar
Inssani Wajood
"Ae Adam
A.s ke bete sun ! ke Insaani Wajood Napaakaur paleed kapre ki taarh Aloodah hai
aur Ism AllahPaani ki mannind hai aur Daimi Zikar
Fikar Sabun kitarah aur Murshid Dhone wale aur rang karne wale kitarah. jab
Talib par ism Allah Zaat ki taseer hoti hai aurMarifat ke rang se uski yak
rangi Badaraja kamalpohanch jati hai aur Dooyi uske wajood se uth jati hai ,to
Muraqiba ke waqt jab woh sar se kadam tak Dil kitaraf Nigah karta hai, to
Chashme Dil se dekhta hai keuske tamam wajood me har har baal tale ism Allah
ZaatNaqsh hai. uswaqt uske badan ka har aik baal ,
GoshtPost , Ragey , Hadiya , maghaz o Dil sab kuch bamanzila hojata
hai, aur daro deewar , Shaher aur bazaaraur jo kuch Darakhto ke darmiyan Meve
waghera hai ,gharzeeka jis cheez ki taraf dekhta hai , use Ism Allah hiZahir
nazar ata hai. jidhar dekhta hai , jo kuch sunta haiya kehta hai, Ism Allah hi
Dekhta h, sunta , aur kehta hai.Kasrat e Shoq se sab daro deewar Aina ho gaye
Ism ALLAH Zaat ki kun:
Jo Faqeer Kamil Ism Allah Zaat ki
kun ko janta hai. wohtassawur ki madad se Talib Allah ko aik lamhe meBargah e
Khudawandi me pohncha deta hai aur wohhamesha Gharq fi Toheed, anwwar e dawaaim
aurDeedar Ellahi se Musharraf rehta hai.Jo Murshid Kaamil Jis kisi ko Tassawur
Ism Allah ZaatKi Talqeen se nawazta hai , Woh apne wajood ko Talibke wajood se
Fana Fi Shaikh karke Naim ul Badal ke torpar use apne martabe ke barabar
kardeta hai.
Nigah e Mard e Momin:
Murshid Ki Nigah se Toheed haasil
karna"Kaamil Qadri Murshid jab Taalib par aik nigah dalta haito use Noor e
Toheed mei gum kardeta hai aur iskidastgeeri karke ise majlis e Muhammadi me
pohnachadeta hai "
Murshid Teen Tarah ke
hotey hai:
MURSHID teen tarah ke hote hai . aik
MURSHID adnakaamil, dom Mutawasit Mukammil,
som ALA O AKMAL.MURSHID ADNA KAMIL mutwatir aik hafte Talib ko
apnitawwaju me rakhta hai aur har roz new tawwaju semusharraf karke satwe roz
talib ko manzil e maqsoodpar pohancha deta
hai.yani musharraf deedarparwardigar aur hazoori Bazam AHMED MUKHTARP.B.U.H
bana deta hai.lekin murshid mutawasit aik shabanA roz yani ath 8pehar mei talib
ke kaam se farigh hojata hai. aur isewasil BIALLAH aur dakhil Majlis Nabvi
p.b.u.h banadetahai.aur Murshid ALA AKMAL
aik dam aur aik hi nigah setalib ko us mqam muntah tak pohancha deta
hai.is ki misal yu samjhni chaye ke Murshid
Talib ke rehame dil ke ander apna lateef noori nutfa dal deta hai jis
setalib ka batni hamal tehar jata hai. so is norie batnihamal ke tehrane mei ALA MURSHID ko aik dam ,Mutawasit ko ath 8
pehar aur adna ko aik hafta yanisaath roz darkaar hote hai.bad woh lateef
noorie Tifal manwi apne Muqarara waqtkam az
kam aik saal ya bara 12 saal ya tees 30 saal kearse me batan e batin se
bahar ata hai. aur phir apnewaqt par baaligh ho kar maqaam e talqeen o irshad
parpohanchta hai."Maqam Ishq mei sabit kadam wohi rehta hai jo Sahib
eIstiqamat ho.
Fana fi Shaikh:
wazeh rahey ke Talib aur mureed me
yeh saat cheezeyhoti hai .1.Aitiqaad2.Yaqeen3.Ikhlaas4.Sidq5.Aitibar6.Talb7.Mohabbatyeh saat cheeze
Taalib ki koshish se haasil nahi hotibalke Murshid ki tawwaja aur kashish se is
me peda hotihai.jab Peer o Murshid ki ata se yeh saat cheeze Taalib kewajood me
jama hojati hai to uske wajood me Yaqeen kesabab aik noorani soorat ajaati
hai.jis ke waseele Peero o Mureed Taalib o Murshid kedarmiaan arz o marooz aur
hukum aihkaam ka silsilashuru hojata hai.agar Taalib fana fi shaikh aur aur
fana fil peer na hota .to Zahir o baatin me koi shakhs matlab o maqsad haasilna
karsakta .
Toheed Fana fi ALLAH
baqa bi ALLAH:
Jo koi ism Allah Zaat
me gum hojata hai uska Nafs Murdaaur qalb zinda hojata hai aur uski Rooh
isNafsaani wajood ke bajaaye Qalbi Noorani wajood ko bator jisam ya
Libaas akhtiyaar kar leti hai jis se baqa bi ALLAH kamqaam aur daaimi hayaat
naseeb hojati hai.Allah Tala ka irshad hai"aur ham ne in ke Quloob me
(Noor) Emaan sabt kardiya haiaur isko ROOH se madad de di hai"(almajadla
22)
(Sulook e Sufia)
Allah ka Talib:
Aey Talib Jaan
Lay Keh"Talib e Duniya
Mukhannas(Heejra) Hay.Talib e UkhraaMaanind
e Aurat Hay.Mard Wohi Hay Jo Allah Say AllahKo Talab Karta Hay....
Marfat ka Ghussal:
"Talib murshid ke haath me aisa
hota hai jese nehlanewale ke haath me Murda hota hai""Ae Talib agar
tu talib Saadiq hai to khud ko mere hiwalekarde Murda ki tarah ban ja aur dam na
maar Taake maitujhe Marfat ka Ghussal de kar
tamam Alaaisho se alagkardoo"

0 comments:
Post a Comment