Allah ka Darwaza
Ghaib Haqeeqi Allah Tala ke paas hai
. pas Tu Allah Tala se qurbhaasil kar. Taake Tu un Cheezo ko dekh le jo iske
paas hai .Apne Aihl o maal apne shehar aur apne biwi bacho se alehda hoja aur
unko apne Dil se nikaal de sab ko chor de aur Allah Talake darwaza par pohanch
ja iske Ghulaamo aur Saltanat aur Mulkki taraf mashgool na ho agar woh tere
saamney tabaaq paishkare to us se na kha. Agar woh tujhe kisi hujre me tehraaye
to isme na tehar . agar woh tera nikah karna chaye to na kar in me seTu kisi
cheez ko qabool na kar. Jab tak Tu apne safar ke kaproaur jootio aur ghubaar
safar aur bhikre hue baalo ke saath AllahTala se mulaqaat na kar le kisi ki
taraf tawwaja na kar. Pas ishalat par Allah Tala teri haalat badalne wala ,
tujhe khushi denewala , teri thakaan ko rahat se badalne wala aur tere khof
koaman se badalne wala hojaaye ga . is ka qurb tere liye ghana auruska deedar
tera khana peena aur tera libaas ban jaaye ga.Makhloooq se dosti rakhne ke kiya
maani hai in se darna , in seumeede rakhna , inki taraf jhukna aur in par
bharosa karna haiMakhlooq se dosti rakhne ka yehi matlab hai ke jis se mumanatka hukum diya gaya hai .
Talib ka Ikhlaas
Auliah Karam ne
Duniya aur Akhrat aur Makhlooq kerelation
ko baatil kardiya aur Allah Tala ki Zaat Paak serelation peda karliya . Tum apne khotey Darham pesh nakaro kionke
parakhne wala bara hoshiyaar hai whobagher
kasoti par parkhey tum se na le ga . Jo khottumhaare paas hai tum is ko
phenk do aur usko koicheez bhi na samjho . Tum se wohi maal liya jaaye ga
jobhatti me daakhil ho kar mail kuchail se saaf hojaaye ga.Pas tum yeh khayaal na karo ke mamla asaan hai .
Tumme se aksar ikhlaas ka dawa karte hai magar hoteymunaafiq hai . Agar imtihaan
ka mamla na hota to bohtLog daawe daar ban jaatey . Jo Shaksh burdbaari
kamuddayi hoga ham ghussa dila kar uska imtihaan lengeaur jo Shaksh sakhawat ka
muddayi hoga ham maangmaang kar uska imtihaan lenge aur har who shakhs jokisi
cheez ka dawa kare me uska iski zidd se imtihaanleta hoo. Tum apne hawwis ko
chor do aur apni tamamhaalto me taqwa akhtiyaar karo . Rab Tala ki Zaat inhi keliye hai jo taqwa akhtiyaar kartey hai .
Shirk
“Tu Zahir o Batin se Shirk ko chor
de aur Parhez gaarome se hoja . Buto ki pooja Zaahiri Shirk hai aurmakhlooq par
aitimaad karna unko nafa aur nuqsaan kamaalik samjhna baatni shirk hai. Shaazo
o Naadir hiduniya me who Log bhi hai ke jin ke haath duniya hotihai aur woh is
se mohabbat nahi karte who duniya kemaalik
hotey hai aur duniya inki maalik nahi hoti .Duniya in se mohabbat karti
hai lekin woh Duniya semohabbat nahi karte .
Duniya inke peechey dorti hai aurwho duniya ke peechye nehai dortey .
who Duniya kokhaadim bana dete hai . Duniya inko khidmat gaar nahibanati . Woh duniya se judaayi karte hai lekin
duniya inse juda nahi hoti , unho ne apne dilo ko Allah Tala keliye durust kar liya hai aur duniya inke fasaad
karne parqudrat nahi rakhti. woh Duniya me tassarruf kartey haiaur duniya in me tassaruf nahi karti .Tum Duniya
ko sirf makhlooq ko nafa pohnchaney keliye apne haatho me aur isko apne
dil se nikaal do phirwoh yaqeenaan tumhe koi nuqsaan na pohncha sake giaur na
iski naimat aur zeenat tumhe dhoka de sake gi .Pas anqareeb tum bhi duniya se
chale jaaoge aur whobhi tumhaare baad fana ho jaaye gi.”
Nafs ki Islah :
Ae Allah ke bande ! apne Imaan ki
kamzori ke waqt sirf apneNafs ki islah me mashghool reh Dusro ki fikar na kar.
Terezimma tere aihl aur parosi aur tere shehar aur tere mulk waalo kiislah ka
haq nahi. Haa albata jab tera Imaan qawi hojaye tabapne Aihl o Ayaal ki islah
ki taraf tawwaja kar. Iske baad aammakhlooq ki taraf nikal . makhlooq ki taraf
is waqt tawwaja hojabke taqwa ki zareh pehn le aur apne Dil ke sar par emaan
kakood aur apne Haatho me Toheed ki Talwaar aur apne Tarkashme qabooliat dua ke
teer le le aur Tofiq ke tez raftaar Ghorey parsawaar ho jaye aur bhaag dor aur
talwar zani aur Teer andaaziseekh le iske baad Allah Tala ke dushmano par hamla
kar . Pasis waqt Nusrat aur madad Khudawandi tere 6 jaanibo se aayi giaur tu
Makhlooq ko Shaitaan Laeen ke haatho se churaa le gaaur unko Astaana e
Khudawandi tak pohnchaa de ga aur unkojannat ke amaal ki targheeb de ga aur
Aihl e Dozakh ke amaal sedaraaey ga aur aisa kioo na ho ke tu Jannat o Jahannum
kopehchaan chuka hai aur in dono ke amaal se agaah ho chuka hai. jo Shaksh is
maqaam par pohanch jata hai is ki dil ki Aankho separde door kardiye jataey hai
. yeh 6 jaanibo me jidhar tawajjakarta hai apni nazar ko is ke paar pohncha
deta hai aur koiCheez is se hijaab me nahi rehti aur apne dil ke sar ko utha
karArsh o Asmaan sab dekh leta hai aur sar ko neechey jhukata haito tamam
Zameen ke Tabqaat aur inke rehne waalo ko dekh letahai . in sab amoor ka sabab
Imaan aur Marfat e Khudawandi hai.Jis ke saath Ilam o Hikmat dono ho . jab tu
is maqaam parpohanch jaaye ga pas us waqt Makhlooq ko Astaaana eKhudawandi ki
taraf dawat de is se pehle tujh se kuch na hoga .jab tu makhlooq ko dawat de ga
aur bulaaye ga aur khudDarwaza e Khudawandi par na hoga to yeh tera dawat dena
aurbulana ulta tujh par wabaal hoga jab tu harkat kare ga gir jaayega , jab tu
bulandi chaye ga past hoga . tujhey Salaheen kehalaat ki kuch khabar nahi hai
tu mehaz zabaan daraaz aur Qalbke khayaali zabaan hai . tu bagher baatin ke
zaahir aur bagherkhalwat ke jalwat aur bagher quwwat ke bahdur bana hua hai
.Teri Talwaar Lakri ki hai aur tera Teer Gandhak ka hai tu bagher
shujaat ke bara Bahdur bana hua hai
halka sa teer tujhe qatalkarde ga aur aik chota sa macchhar tujh par Qaymat
qaaimkarde ga
Dil Ki zindagi :
Allah Tala ke aihkaam par amal karna
aur uski mana karda baato sebaaz rehna Balao par sabar karna qaza o qadar ke
saamney sar jhuka dena dil ki zindagi hai.Muqaddar :Jo teri kismat me likha hua hai aur jo
nahi likha hua isko talab karnachor de . is liye jo tera muqaddar ho usko talab
karna aurmusshaqqat me parna bekaar hai aur jo tera muqaddar nahi iski
talabazaab aur ruswaai hai is liye keNabi Kareem (p.b.u.h) ne farmaya .“bande
ka asii cheez talab karna jo iski kismat me nahi liki gayi yehbhi Allah ka
azaab hai.”

0 comments:
Post a Comment