Monday, June 17, 2013

HAZRAT FAQEER NOOR MUHAMMAD (R.A)



Yaqeen aur Talqeen:

Yaqeen aur Talqeen Saalik ke liye har do laazim omalzoom hai . Yaqeen Saalik ke liye Ba manzila Noor ebasarat aur aankho ki mannind hai aur talkeen Roshni kitarah hai . Roshni ke bagher aankhe bekaar hai . aurandhe be basar ke liye Roz e Roshan bhi Shab (raat) hai.jis shakhsh ke ander Allah Tala ne Roz e azal se Noor eYaqeen aur Tofiq hidayat bator wadiat nahi rakhi aiselogo ke liye Auliah Allah ki talqeen to kiya peghambro kemoajze bhi kargar aur moassar sabit nahi hue. jesa keAboo Jehal aur Aboo Lehab waghera tamam umerMakka Mukarama me rahye . Quraan sunte rahey aurmoajjze o ayaat dekhte rahey lekin choonke Noor eYaqeen se mehroom aur azali andhey they . is liye dawate Nabvi ke noor aur roshni se unhe kuch faida nahi hua.lekin baraks uske jin logo me Roz e azal se basaratyaqeen aur istidad hidayat mojood ho lekin peghambaroki noor e dawat talekeen aur tawwaja na ho to inki wohistidad aur kabliat is tarh zaia ho jatai hai jis tarahtakhum aur beech bagher paani zaia hojata hai. maslanarab ke ilake par agar aftaab e risalat na chamakta toyeh mumkin na tha ke arab ke jahil aur sarkash logSahaba karam R.Z ban kar Asmaan e kamal aur oaj eTarraqi par Darikhshinda sitaro ki tarah chamakte.

Ilam e Ludni
 
Ilam e LudniHazrat Faqeer Noor Muhammad R.A farmatey hai.Ilam Ludani aur ilam ghaib ki misaal Quraan Kareem kiSurah Kehaf ke ander Khizer A.S aur Moosa A.S kewakey me mazkoor hai ke Moosa A.S ne Khizer A.s kisohabat me rehne aur un se baatni Ilam Ludani seekhneki istida ki . jo is shart par manzoor ki gayi ke Moosa A.sKhizer A.s ke kisi feal par aitriaz nahi karenge. Rafaqtme jab Hazrat Khizer A.s ne kishti me soraakh karke usemayoob kardiya . aur aik masoom bachey ko katal kardala aur aik tooti hui deewar ko dubara bana dala .yehteeno kaam bazahir Moosa A.S ko na makool aurnamunasib nazar aye. woh aitriaz karte rahey . jis parkhizer A.S ne in teeno kaam ki batni muslahete samjhakar inhe apni sohabat aur rafaqat se alehda kar diya. soKhizer A.s ko in kaamo ke anjaam aur ghaibi nateejyeapne Khudadad Ilam Ludani aur Ghaibi ilam se maloomthey. aur yeh uloom aaj tak Duniya me Allah Tala apnekhaas khaas bando ko ata karta rehta hai. yeh silsilaqayamt tak seena ba seena chalt rahega . Awaam Zahirbeen logo ka is ilam ke wajood par aitriaaz lazmi amarhai .kionke woh is ilam se bilkul be khabar aur na wakifhai.ham yah Khizer A.s ke teeno kaam ki batni taweel bayankarte hai. 

1) awwal Murshid kaamil baaz talibo ko is tarah AllahTala ki taraf latey hai ke uske tan ki kashti ko is tarahmayoob kar detet hai ke woh duniya ke kaam ka nahirehta aur har sakhs use duniyawi karobaar me na aihlsamjh kar apne kaam me shareek nahi karna chata is liye woh chaar o nachaar duniyawi Sultan yani Shaitanki begaar se choot jata hai .

2). Shaikh Kaamil Talib ke tifal Maanwi yani Nafs kotaigh e tawaaja Ism Allah Zaat se katal kar dalta hai .taake kalb aur arwah ko jo ke tifal(baccha) nafs ke liyeba manzila walden(parents) ke hotey hai Nafs ke akhlaqe zamema se aziat aur takleef na pohanchey

3) Shaikh Talib Mubtadi ke ganj Kashf o karamat kochupaney ke liye is par ainda salook ki aik mazbootdeewar kahari kardeta hai . taaake jis waqt Talib kaamilsalik hokar Batin me Had baloghat aur inthiyae maksoodko pohanch jaye . aur ganj kashf o karamat kosanbhalne ke kaabil ban jaye to us waqt woh use haasilkarle warna kamaal e salook se pehle agar Talib ka batniKhazana Makshoof hojaye to woh kashf o karmat ki wajase Rujooat e Khalq mei griftaar ho jata hai aur us kabatni khazana Lut jata hai.

 
Ilam Zaahiri:

Ilm Zahiri se Nafs e Ammara har giz maghloob nahi hotaaur na hi marta hai balke ziada sarkash aur maghrooraur mota taza hojata hai. jab tak Rah e Salook me SalikNafs se khalasi aur nijaat haasil na kare Allah Tala sehar giz wasil nahi hosakta kionke khuda aur khudiakhatte nahi hosakte. Hazrat Bayazeed Bustami R.A neAllah Tala se sawal kiya ke "tere wasal ka ko konsa rastahai?" jawab aya ke "ke nafs ko chor kar aa ja wasilhojayega."Khudi ke mitane me Khuda milta hai. isi waste KalmaTayyab me pehle nafi yaani LA ILAHA ILLALLAH hai jisse tamam Afaaq aur anfaas ke ghair maboodo aurmaqsoodo ki nafi aur fana matloob hai. anfaas me sabse bara sanam e akbar insaan ka apna nafs aur uskihawa(khwaish) hai. jesa ke Allah Tala Farmatey hai " ayatu ne nahi dekha us shakhs ko jis ne apni khwaish enafsani ko apna mabood banaya" jo shash Allah Tala kiRah me apne aapko mita deta hai Allah Tala use apneNoor se abadi Zindagi aur daimi baqa bakhsh deta hai" jo shaksh Allah Tala ki rah me koi cheez talaf aur zaiakardeta hai Allah Tala par uska awez aur haq Laazimajata hai aur woh zaroor iska mawaza ata farmata hai"

Shaitan ka chakkar :

Jis waqt saalik zikar o fikar ataat ya ibadat ya tassawur Ism AllahZaat ki riazat shuru karta hai . aur iske zaree manazil salook aurdarajaat tey karta hai to shaitan baatin me Arsh o kursi aurbehshat o hoor o kasoor tayyar karke saalik ke samney lata haiaur saalik ghalti se inhe asali maqamaat samajh kar is se khushwaqt ho jata hai . to shaitaan use kehta hai ke bas ab terainthiyai makam aur manzil maksood yehi hai aur tu martabayaqeen ko pohanch gaya aur Allah Tala ka farman hai ke " tuapne Rab ki ibadat kar yah tak ke tu martaba yaqeen ko pohanchjaye" aur shaitaan kheta hai ab tujh par zahiri ibadat namaazRoza waghera sab takkaluffat sharaee maaf hai. gharz jab wohaihkaam sharaee se rogardan hojata hai to shaitaan ki qed meajata hai. shaitaan use khwaab ya muraqbe me apne shaitaanimakamaat ki ter ser kara kar khush rakhta hai aur jab kabhi koisharaee aihkaam maslan namaaz Roza ki taraf rujoo karta hai towoh tere ser shaitaani band honey lagte hai . lehaza woh bilkulsharaee aihkaam ka tarik hojata hai aur usi ko faqeeri aurbuzurugi samjh kar us par moat tak kaaim rehta hai . aisa Faqeerapne gumrah cheele chanto ko bhi isi tarah istidraaj ki talkeenaur irshaad karta hai . hatta ke aik achi khaasi shaitani dukaankaaim hojati hai . is faqeer ne is tarah ke kai gumrah faqeer aurun ke baatil firqe dekhe hai aur un ke istdiraaj maloom kiye hai.agar Talib is shaitaani ter sair ke waqt baatin me Durood Shareefya kalma Tamjeed aur kalma Lahol Parhey to yeh shaitaanimamla aur Nazara foran darham bharam ho jata hai . lekin baazkamozr saalik awwal to kalma tayyab Durood Shareef aur kalmaTamjeed nahi parh sakte agar parhne ki koshish kare to galaband hojata hai. us waqt zaban e dil se agar yeh kalamattayyabat nikle to shaitaan baazi haar kar bhaag jata hai warnagardan par swaar rehta hai.

Taqdeer ka masla:

"Buzargan e Deen likhtey hai ke taqdeer do kisam ki hai , aikTaqdeer Mutaliq jo kisi tarah nahi badalti . Taqdeer Mutaliq keliye Zahir o Batin me koi soorat yah koi sabab tabdeel ke imkaanka nahi chora jata. dusri Taqdeer Muallaq jo agarcha amar eEllahi ho chuka hota hai aur Lohe Mehfooz par ijra ke liye sabtho jata hai lekin Ilam ki Ghaalib aur Qahir Qudrat iske mitane parparda e Ghaib me mamoor hoti hai. kionke ilam se amar badaljata hai . lekin ilam amar se nahi badalta . jesa ke paani dhalwanki taraf behta hai lekin ilam e fawaare aur pump (motor) useooper ki jaanib le jata hai . Buzurgaan e Deen ne is ki yuntamseel likhi hai ke tarjuma "jo kuch duniya me honey wala thaqalam ne loohe mehfooz par likh dala aur woh likhaai se faarighho kar khushk ho gayi hai"yeh apni jaga sahi hai lekin qalam ne jab Looh e mehfooz parjumla muqaddarat e aalim tehreer kar diye to is qalm par kuchsihaai baaqi reh gai thi . ALLAH TALA ne woh baqaya sihaayiAnbia aur Auliah Allah ki zaban par mal di . aur is tarah qalam kokhushk kar diya gaya. is liye aya hai! tarjuma "Fuqra ki zabanALLAH TALA ki qudrat ki talwaar hai " is liye Anbia aur AuliahAllah ka farma ALLAH TALA ke farman kun ki shaan se numayahota hai. isrshad e BARI TALA hai "mera Nabi apni hawa aurkhwaish se nahi bolta balke iska kalam sara sar wahi aur ilqa eElahi hota hai "jesa ke Hakoomat waktan wa fawaktan zaroorat ke liye apneQanoon ke barkhilaaf ordinance jaari karti hai is tarah ANBIA aurAULIAH ALLAH me se baaz Taqdeer muallaq ko badalne kemujaaz hotey hai .





 

1 comment:

  1. Mashallah nice info .who is the writer can i have his contact number

    ReplyDelete

Powered by Blogger.

SHAH-E-ROOMI