Friday, May 10, 2013

SUFIYANA KALAM



Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho

Jub Pare Mushkil Sha?e Mushkil Kusha Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Bhool Jaun Naza?Ki Takleef Ko

Shaadiye deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho


Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aaey Sakht Raat

Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho


Ya Ilaah Garmi-e-Mahshar Seh Jub Bharke Badan

Daaman-e-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Nama-e-A?maal Jub Khulne Lagay,

Aib-e-Pooshe Khalq Sat?taare Khata Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Rang Laayein Jab Meri Be Baaqiyaan,

Unki Neechi Nichi Nazroon Ki Hayaa Ka Saatho Ho

Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Say

Saahib-e-Kauthar Sha?e Jood-o-ataa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate

Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer Par Chalna Pare

?Rabbe Sallim? Kehne Waale Ghamzudah Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jo Dua?e Nek Hum Tujhe Se Kare,

Qudsiyo Ke Lub Se Aameen Rab?bana Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa?e

Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Sard-e-Mehri Par Ho Jab Khurshid-e-Hashr

Sayyad-e-Besaaya Ke Zille-e-Liwaa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Pare Mahshar Mein Shore Daar-o-Geer

Aman Denay Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurm Me

Un Tabassum rez-e-honto ki Dua ka Saath Ho

Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-e-Bejaa Rulaaye,

Chashme Giryaane Shafi-e-Murtaja Ka Saath Ho

Ya Ilaahi Le Chale Jub Dafan Karne Qabar Me

Ghause-e-Azam Peshwa?e Awliya Ka Saath Ho



Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika

Sehr ka waqt tha, sehar ka waqt hai

Masoom kaliyaan muskurati hain
Hawwaein khair e maqtam kay taranay gungunati hain

Farishtoon ki salami denay wali fauj gati thi

Janab e Amina sunti thein, yeh awaz aati th

Ya Nabi salaam Alaika

Ya Rasool salaam Alaika
Ya Habib salaam Alaika
Swalawatullah Alaika

Rehmatoon kay taj walay

do jahan kay raj walay
aarsh ki mairaj walay
aasiyoon ki laj walay

Ya Nabi salaam alaika

Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika

Mustafa khir ul wara ho

sarware har do sara ho
apnay achoon ka tasaduk
hum gadoon ko bhi niba ho

Ya Nabi salaam Alaika

Ya Rasool salaam Alaika
Ya Habib salaam Alaika
Swalawatullah Alaika

Ho mubarak ahle imaan

ho gayi subhay baharaan
ho gaya har ghar charaghan
Swalawatullah alaika.

Amina Bibi ka jaya

baharwi tareekh aaya,
subhe saadiq nay sunaya
Swalawatullah alaika

As-tufailay Ghouse Azam

Ganj Bakhsay faizay azam
sadqaye Imam e Azam
door houn sabh hi kay ranj o gham

Ya Nabi salaam Alaika

Ya Rasool salaam Alaika
Ya Habib salaam Alaika
Swalawatullah Alaika



Bigri banaa-o Makki Madani
Contributed By king Khan

Bigri banaa-o Makki Madani, Bigri banaa-o Makki Madani
Dar pe bulaa-o, dar pe bulaa-o, Makki Madani

Deed teri he Eid meri, Jalwah dikha-o Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani

Hum ho ghunahon me doobe huwe, Jaise he nibha-o Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani

Mehshar me hoga lab pe yehi, Hum ko bacha-o Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani

Sadqa Apne Nawaason ka, Dukhre mitha-o Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani

Rabb ka Dulaara Makki Madani, Aaqa hamara Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani

Rabb ka Dulaara Makki Madani, Aaqa hamara Makki Madani
Ekh Ishaara, Ekh Ishaara Makki Madani

Banti he bigri ghar kar de, Ekh Ishaara Makki Madani
Ekh Ishaara, Ekh Ishaara Makki Madani

Aaye madad ko tum is ki Aqaa
Aayi Madad ko tum is ki
Jis ne pukaara Makki Madani
Jis ne pukaara Makki Madani

Bheek pe Teri hota he
Mera ghuzaara Makki Madani
Mera ghuzaara, Mera ghuzaara, Makki Madani

Toote dilo ki dharas he, Naam Tumhara Makki Madani
Ism Muqaddas Noorani, Ankhon ka Taara Makki Madani
Doori Riaz ko Dar se Tere
Kab he ghowaara Makki Madani

Manghte he karam Unka sadaa
Contributed BY King Khan

Manghte he karam Unka sadaa manghrahe he
Din raat Madine ki Dua mangh rahe he

Har ne�mate konain he daaman me humare
Hum Sadqa-e-Mehboob-e-Khuda manghrahe he!

Asraar karam ke dar faqat unparhi khule he
Jo unke Waseele se Dua manghrahe he

Sarkaar ka Sadqa mere Sarkaar ka Sadqa
Muh�taajo Ghani Shaha-o ghadaa manghrahe he

Ye maanliye he ke Tera dard he darmaan
Taalib he shifaa ke na dawaa manghrahe he

Daamane amal me koy�ee nekhi na Khalid
Bus Naate Muhammad ka silaa manghrahe he


1. QASEEDA BURDA SHAREEF

By Hadrat Sheikh Sharfuddeen Hamaad Booseiri

Alhamdu lillahi munshi?il Khaliqi min ?adami
Summas Salaatu ?alal mukhtaari fil Qidami

Maula Ya Salli Wasallim Daa?iman abadan
Ala Habeebika Khairil Khalqi kul?lihimi

Astagfirullaha min Qawlim bila ?amalin
Laqad nasabtu bihi naslal?lazi ?uqumi

Muhammadun Sayyidul Kawnayni was Saqalayn
Wal fareeqayni min Arabiw wa ?ajami

Huwal Habeebul lazi turja? Shafaa?atahu
Li Kulli hawlim minal Ahwaali muqtahimi

Ya Akramal Khalqi maali man Aloozu bihi
Siwaaka inda Huloolil Haadisal ?amami

Wal Aaali was Sahbi summat Taabi?eena lahum
Ahlat Tuqa wan Nuqa wal Hilmi wal Karami

Summar Rida an Abi Bakr?ew wa an Umara
Wa an Ali?yiw wa an Usmaana zil Karami

Faghfirlana shidiha waghfir liqa ri?iha
Sa altukal Khaira Ya zal joodi wal Karami

Maula Ya Salli Wasallim Daa?iman abadan
Ala Habeebika Khairil Khalqi kul?lihimi


5. AGAYAA WO NOORE WAALA JISKA SAARA NOOR HE

By Janab Munawar Badayooni

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he
Agayaa wo noore waala jiska saara Noor he

Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa
Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he

Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam
Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he

Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se
Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he

Jistaraf ko ut?gayee aalam munaw?war hogaye
Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he

Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar
Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he

Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala
Me sarapaa ma?siyat hoon Tu sarapaa Noor he


Qaseeda Burda Shareef (Arabic)
Contributed By King Khan

Mawla ya salli wa sallim daa'iman, abadann

'Ala habeebika khayri khalqi kullihimi.
Muhammadun sayyidul kawnayni wath-thaqalayn,
Wal fareeqayni min 'urbiw-wa min 'ajami.
Nabiyyunal amirun-nahi fala ahadun,
Abarra fi qawli la minhu wa la na'ami.
Huwal habeebul-ladhee turja shafaa'atuhu
Li kulli hawlim-minal ahwali muqutahimi
Da'a ilallahi fal mustamsi koona bihi
Mustamsi koona bi hablin ghayri munfasimi
Faqan nabiyyina fi khalqiw-wa fi khuluqin
Wa lam yudaanuhu fi 'ilmiw-wa la karami
Famablaghul 'ilmi feehi annahu basharun
Wa annahu khayru khalqillahi kullihimi.
Thummar ridha ?an Abi Bakrin wa ?an ?Umarin
Wa ?an ?Aliyyin wa ?an ?Uthmana dhil karami
Ya Rabbi bil Mustafa balligh maqasidana
Waghfir-lana ma mada, Ya wasi?al karami


AYAT UL KURSI – A IS FOR ALLAH

BISMILLAH HIRAHMAN NIRAHEEM


1.Allah ho la ilah ilal howal hayul qayum
Allah There is no GOD but he the living the

2. La taquzu hosina toun wala noun
No slumber can seez him no sleep

3. Lahu mafisamawati wama fil arde Manzal lazi yashfao indahu ila beizni
He is are all things in HEAVEN and on EARTH who can mediate with him except by hiz permission

4. Yalamuma Beyna ehdi him wama kalfa hum wala yuhituna be shey in minilmi hi ila bemashaa

He knows whatever was before them and whatever shall come after them And they do not incompass anything of his knowledge except as he wills

5. Wasya kursi yuhus samawati wal arde wala yuodu hu hifzu huma
His thrown extends over the HEAVENZ AND EARTH and he feelz no tiredness in guarding them

6.Wa howal Aliul AZEEM
For HE is the HIGH and SUPREME
FASLON KO TAKALLUF HAI HUM SE AGAR
Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.

Khud unhi ko pukarengey hum door se

Raaste mein agar paon tak jayengey } 2


Hum Madine mein tanha nikal jayengey

Aur galiyon mein kus dun batak jayengey 2


Hum wahan jakey wapas nahin ayengey

Doond te doondte log tak jayengey 2



Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega

Bandagi ka kareena badal jaye ga 2


Sar juka ne ki fursat miley gi kisey

Khud hi palkon se sajdey tapak jayengey 2


Naamey Aaka jahan bhi liya jayega

Zikr unka jahan bhi kiya jayega 2


Noor hi noor seeno mein bhar jayega

Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey 2


Eh Madiny ke zahi KHuda ke liye

Daastaan ne safar mujko yumad suna 2


Baat bhar jayegi dil tarap jayega

Mere mohtat aasoo chalak jayege 2


Unki chashme karam ko hai iski khabar

Kis musafir ko hai kitna shaukey safar 2


Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili,

Hum bhi Aaka ke darbar tak jayegeney 2


Faslon ko takalluf hai hum se agar,

hum bhi bebas nahin besahara nahi.

Khud unhi ko pukarengey hum door se

Raaste mein agar paon tak jayengey
Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
Artist: Naat

Lyrics Contributed By: Mirza Khurram

Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya

Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya

Yeh kon sar se kafan lapetey chala hai ulfat ke raatey par
Farishtey hairat se tak rahe hain yeh kon zi ehteram aaya

Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh goonjhti hain
Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam aaya

Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya

Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya

Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aai
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya

Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi de saad in bisat ban kar payam darood-o-salaam aaya

Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya
Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar


Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar Allah u Akbar Allah u Akbar
Dekhoon To Dekhay Jaaon Baraabar Allah u Akbar Allah u Akbar

Hairat Se Khud Ko Kabhi Dekhta Hoon Or Dekhta Hoon Kabhi Mein Haram Ko
Laya Kahan Mujh Ko Mera Muqaddar Allah u Akbar Allah u Akbar

Bhaija Hai Jannat Se Tujh Ko Khuda Ne Chhoma Hai Tujh Ko Mere Mustafa Ne
Aye Sang-e-Aswad Tera Muqaddar Allah u Akbar Allah u Akbar

Kaabay Ke Ooper Se Jaatay Nahi Hain Kis Ko Adab Yeh Sikhaatay Nahi Hain
Kitne Muaddab Hain Ye Kabootar Allah u Akbar Allah u Akbar

Maangi Hain Mein Ne Jitni Duaaein Manzoor Hongi Maqbool Hongi
Meezab-e-Rehmat Hai Mere Sar Per Allah u Akbar Allah u Akbar

Mola Sabih Or Kia Chahta Hai Bus Maghfirat Ki Ataa Chahta Hai
Bakhsish Ke Talib Pe Apna Karam Kar Allah u Akbar Allah u Akbar

0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.

SHAH-E-ROOMI